Google
 

Wednesday, August 02, 2006

Sawan ka Yauvan

ye baarish ki rimjhim,
ye barakha ka paani,
wo jhoka hawa ka,
kahe kya kahani,

wo mitti ki khushboo,
wo mausam ka jadoo,
wo meethi si sirhan,
wo badal ki sargam

kaho kya hai karan,
ki bahke hai tan-man,
ye sawan ka yauwan,
ya yauvan ka sawan

Creative Commons License
This work is licensed under a Creative Commons Attribution-ShareAlike 2.5 License.